Wednesday, November 3, 2010

हर एक दीप ये सोचकर जला रहा हूँ  " दीवाने " ,
इस दिवाली कोई दिल जलाने वाला न याद आए,,,,,

Saturday, September 18, 2010

kuchh sher faqat unako sunaane ke liye hain


ash-aar mere yuun to zamaane ke liye hain
kuchh sher faqat unako sunaane ke liye hain

ab ye bhii nahin thik ki har dard mita dein
kuch dard kaleje se lagaane ke liye hain

aankhon mein jo bhar loge to kaanton se chubhenge
ye khvaab to palakon pe sajaane ke liye hain

dekhuun tere haathon ko to lagata hai tere haath
mandir mein faqat deep jalaane ke liye hain

socho to badi cheez hai tahaziib badan ki
varanaa to badan aag bujhaane ke liye hain

ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabein
ik shakhs kii yaadon ko bhulaane ke liye hain

                                                                                  -Jan Nisaar Akhtar

banaya hai maine ye ghar dheere dheere
khule mere khwabon ke par dheere dheere

kisi ko giraya, na khud ko uchala
kata zindagi ka safar dheere dheere

jahan aap pahunchenge chalaange laga ke
wahan main bhi pahuncha magar dheere dheere

pahadon ki koi chunauti nahi thi
uthata gaya yo hi sar dheere dheere

gira main kahin to akele mein roya
gaya dard se ghav bhar dheere dheere

                                                                                             ........-ramdarash mishr....

बड़ी शातिर है ये दुनिया बहाना ढूंढ लेती है

मेरी खामोशियों में भी  फ़साना  ढूंढ  लेती  है
बड़ी  शातिर  है  ये  दुनिया  बहाना  ढूंढ  लेती  है

हकीकत  जिद  किये  बैठी  है  चकनाचूर   करने  को
मगर  हर  आँख  फिर  सपना  सुहाना  ढूंढ  लेती  है

उठती  है   जो  खतरा  हर  कदम  पर  डूब   जाने  का
वही  कोशिश  समुंदार  में  खजाना  ढूंढ  लेती  है

न  चिड़िया  की   कमाई  है  न  कारोबार  है  कोई
वो  केवल  हौंसले  से  आबोदाना  ढूंढ  लेती  है

जूनून  मंजील   का  राहों  में  बचाता  है  भटकने  से
मेरी  दीवानगी  अपना  ठिकाना  ढूंढ  लेती  है
 - राजेंद्र  तिवारी

Wednesday, September 8, 2010

Kaise sukoon paau tujhe dekhne ke baad

ab kya ghazal sunaau tujhe dekhne ke baad



aawaz de rahi hai meri zindagi mujhe
jaaun mein yaa na jaaun tujhe dekhne ke baad



teri nigaah-e-mast ne makhmoor kar diya
kya meykade ko jaaun tujhe dekhne ke baad



nazro mein taab-e-deed hi baaki nahin "deewane"
kis se nazar milaau tujhe dekhne ke baad.
Nae tarha say nibhanay ki dill ne thani hay


Wagarna uss say muhabbat bohat purani hay



Khuda wo din na dikhay k mein kisi say sunooN

Kay tu nein bhi gham-e-dunia say haar mani hay



Zameen pay reh kay sitaray shikaar krtay hein

Mizaaaj ehl-e-muhabbat ka aaasmani hay ,,!



Hamein aziz ho kuion kar na sham-e-gham k yahi

Bicharnay walay ‘ teri akhri nishaani hay



Utar paray ho tu dariyaa say pochna kesa

K saaahlioon say udhar kitna taiz pani hay



Bohat dinoon mein teri yaad aourdh kr utri

Yeh shaam kitni sunehri hay kia suhaani hay



Mein kitni dair usay sochta rahon MOHSIN

Kay jesay uss ka badan bhi koi kahani hay
 
 
 
 
..mohsin naqvi....

Tuesday, September 7, 2010

a b'ful one....

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,


Meri doobti kashti ko kinara dy do,



Main dard k sahil pay tanha khara hun,

Phir aa k apni baahon ka sahara day do,



Tera daaman to bhara hay sitaron say,

Mujhy sadqay may ik sitara day do,



Mery aangan my aj andhera ha bohat,

Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,



Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,

My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do
Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi


Manga Khuda se her Waqt, Tere siwa Kuch b nahi



Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe

Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch b nahi



Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar

Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi



Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak

Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi



Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga

Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi

 
 
...this gazal is sang by Jagjit & Chitra ji.........
 
 
(this is really a b'ful gazal)

Saturday, September 4, 2010

सफ़र की हद है वहाँ तक कि कुछ निशान रहे

चले चलो के जहाँ तक ये आसमान रहे




ये क्या उठाये क़दम और आ गई मन्ज़िल,
मज़ा तो जब है के पैरों में कुछ थकान रहे




वो शख़्स मुझ को कोई जालसाज़ लगता है,
तुम उस को दोस्त समझते हो फिर भी ध्यान रहे




मुझे ज़मीं की गहराईयों ने दाब लिया,
मैं चाहता था मेरे सर पे आसमान रहे




अब अपने बीच मरासिम नहीं अदावत है,
मगर ये बात हमारे ही दर्मियान रहे




मगर सितारों की फसलें उगा सका न कोई,
मेरी ज़मीन पे कितने ही आसमान रहे




वो एक सवाल है फिर उस का सामना होगा,
दुआ करो कि सलामत मेरी ज़बान रहे

.....अज्ञात.....

Friday, September 3, 2010

dhundhta kyu rhta hun mai tujhko yun tanhaayi mai,,
ek roz mujhe tum mil b jao meri in tanhaayi main,,,

dekha tha phli baar tumhe to mujhko ye maalum na tha,,
ek roz tumhen mai dhudunga,in pyari si tanhaayin mai,,

akser socha krta tha mai,hum saath rhenge har pal to,,
daaman hoga khusiyon se bhara,or saaz chidenge tanhayin main,,

na doos hai meri kismat ka naa doos hai tera "deewane"
agar usko paana mumkin nhi,to khus hi rhe tu tanhayin mai.

my shayries.....

""




be panah muhabbot hai tumse,ye tumko bhi to malum hai..,

hai sacchi meri her chahat ,ye tumko bhi to malum hai...,,,



haal-e-dil mene tumse ,haalanki kbhi kha to nhi,,,

per har baar kiya zahir isko,ye tumko b to malum hai,,



meri aankhon mai ye laali kaisi,ek subhe ye tumne pucha tha,,

royin thi ye aankhen sab-bhar,ye tumko bhi to malum hai,,



khamos hi rhte the ye lab,hum jab bhi mila krte the,,

ye khna to bhoot kuch chahte the,ye tumko b to malum hai,,



aksar ye gila rhta tha tera,meri baaten tujhko preshan krti hai,,

kbhi samjha hi nhi tumne inko,ye tumko bhi to malum hai,,



har baar sada di hai tujhko,roya hun mai jab tanhayi mai,,

kaise guzri hain sab-e-hizre,ye tumko b to malum hai,,



paana hai nhi aasan usko,ye tujhko b malum hai "deewane",,

par aisa bhi nhi ki paa na saken,ye "tujhko" b to malum hai,,,,, """"


...............my own........
hello friends...........

i am a geart lover of shayeries and gazals.

here u can read my own ceations.....with my tag as "Deewana"....

and if any post is not my creation then i will put the name of original shayer....

but all the shayeries and gazals with the tag name "deewana" are mine.....

i also use same name on different communities of orkut while posting my cration there....


i hope u will like them....any comment or feedback from u will be highly appriciated...

 thank you friends.....

 Prabhat Urf  "Deewna"